Subah ke 4 baj gaye, lekin yeh dimaag hai ki sochna band hi nahi kar raha hai. Khud ke baare mein sochna, kisi aur ke baare mein sochna, kisi cheez, kisi jagah ke baare mein sochna, kuch hone wala hai ya kuch beet gaya ho toh uske baare mein sochna… Lekin jab hum kisi cheez ke baare mein zaroorat se zyada sochna shuru kar dete hain, dikkat wahin se shuru hoti hai. Overthinking sirf humari mental health ko affect nahi karta, balki humare mood ko bhi kharab karta hai, humare rishton aur professional life mein bhi pareshaaniyan laata hai. Jab tak hum normally kuch soch rahe hain, tab tak sab sahi hai, koi pareshaani nahi. Lekin jahan humne zarurat se zyada sochna shuru kar diya, wahan se humari pareshaaniyan badhne lagti hain. Why Not Me? A Feeling of Millions ke bestselling author Anubhav Agrawal ki nayi book, MindF**ked: When It’s 4 a.m. and You Can’t Stop Thinking mein diye gaye solutions se aap overthinking ko control kar sakte hain, aur apne mann ko shaant kar sakte hain.